July 6, 2008

Shayaries by Unknown

Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata
Lehro se pani ko hataya nahi jata
Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata

Socha tha na karenge kisi se dosti
Na karenge kisi se vaada
Par kya kare dost mila itna pyara
Ki karna pada dosti ka vaada

Samja do apni yaadon ko
Wo bin bulaye pas aaya karti hai
Aap to dur rehkar satate ho magar
Wo pas aakar rulaya karti hai

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi
Muskura rahe the hum par ankho me nami si thi
Saath hamare ye jahan tha sara
Par na jaane kyu tumhari kami si thi

Kyu dil ke mere tukde kar diye
Kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye
Gunaah kya tha mera bas chaahna tumhe
Kyu meri zindagi me tune dard bhardiye

Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata
Lehro se pani ko hataya nahi jata
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata

Socha tha na karenge kisi se dosti
Na karenge kisi se vaada
Par kya kare dost mila itna pyara
Ki karna pada dosti ka vaada

Samja do apni yado ko
Wo bin bulaye pas aaya karti hai
Aap to dur rehkar satate ho magar
Wo pas aakar rulaya karti hai

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi Muskura rahe the ham
Par ankho me namee si thi
Saath hamare ye jahan tha sara
Par na jaane kyu tumhari kami si thi

Kyu dil ke mere tukde kar diye
Kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye
Gunah kya tha mera bas chahna tumhe
Kyu meri zindagi me tune dard bhar diye

Phool se pehle khusboo ko to dekho
Karne se pehle kaam ko to dekho
Kisike roop me diwana naa bano
Surat se pehle uske dil ko to dekho

Ham wo ishq hai jo dil bankar dhadakte hai
Ham wo khushbo hai jo baho me mahakte hai
Ham se pyar na karna ae zaalim
Ham vo dard hai jo ankho se chalakte hai

Apne pyar ko chhupa na chaha par chhupa na sake
Diwane dil pe kaabu ham paa na sake
Aaj itne karib se gujar gaye wo
Phir bhi unka hath ham tham na sake

Ikraar me shabdo ki ahmiyat nahi hoti
Dil ke jazbat ki awaz nahi hoti
Ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan
Mohobbat lafzo ki mohtaz nahi hoti

Gham ki aahat na aaye tere dar par
Pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho
Bhool se jo tapke teri aankhon say moti
Thame wohi jo tumhe sabse pyara ho

Mohabbat me sath to harpal hota hai
Koi dikhne se hota he to koi dil se hota hai
Maza to sath me tab aaye yaaro
Jab judai ka lamha mahsus hota hai

Na chaho kisi ko itna ki chahat aapki majburi ban jaaye
Chaho kisi ko itna ki aapka pyaar uske liye jaruri ban jaaye

Gham ne hasne na diya
Zamane ne rone na diya
Is uljhano ne jine na diya
Thak ke jab sitaron se panah lee
Neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya

Har ek se achi baat karna fidrat hai hamari
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari
Koi hum ko yaad kare ya na kare
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari

Yaadon mein hum rahein ye ehsaas rakhna
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna
Ye nahi kehte ke sath rahna
Dur sahi par yaad rakhna

Fasle mita kar aapas me pyar rakhna
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna
Bichad jaye kabhi aap se hum
Aankhon me hamesha hamara intejar rakhna

Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai
Ajnabi koi shakhs yaar ho jata hai
Khubiyo se hi nahi hoti mohobbat sadaa
Khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai

Khuda se thoda rahem kharid lete
Aap ke zakhmo ka malam kharid lete
Agar kahin kabhi bikti khushiyan meri
To saari bechkar aapka har gham kharid lete

Nighahe nighago se milaakar to dekho
Naye logo se rishta banakar to dekho

Hasrate dil me dabane se kya faida
Apne hoton ko hilakar to dekho

Aasmaan simat jayega tumhare agosh me
Chahat ki baahein failakar to dekho

Tum kya jano kya hai tanhai
Is tute hue patte se puchho kya hai judaai
Yun bewafa ka ilzam na de ae zaalim
Is waqt se puch kis waqt teri yaad na aayi

Aap ka ashiyana dil me basaya hai
Apki yado ko sine se lagaya hai
Pata nahi yaad apki hi kyo aati hai
Dost to hamne auro ko bhi banaya hai

Dosti gazal hai gaane ke liye
Dosti nagma hai sunane ke liye
Ye wo jhazba hai jo sabko nahi milta
Aap jaisa chahiye nibhane ke liye

Zindagi hai nadan isiliye chup hoon
Dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon
Keh du zamane se dastan apni
Usme aayega tera naam isiliye chup hoon

Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka
Shayad nazron se vo baat ho jaye
Is ummid se karte hai intezar raat ka
Ke shayad sapne me mulakat ho jaye

Sehmi si nigaho me khwab hum jaga denge
Sooni in raho pe phool hum khila denge
Humare sang muskura ke to dekhiye
Hum aapke har gum bhula denge

Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi
Bekarar dil ko ab bhi rahat nahi
Bhula dete unhe bhi magar kya kare dost
Kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi

Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi
Jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi
Pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi
Kya hamse milne ko wo bekarar nahi

Bolti hai dosti chup rehta hai pyar
Hasati hai dosti rulaata hai pyar
Milati hai dosti judaa karta hai pyar
Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar

Aap to manzil ko mushkil samajte hai
Ham aap ko manzil samajte hai
Bada fark hai apke or hamare nazariye mein
Aap hame sapna or ham aap ko apna samajte hai

Leke ham dusro ki hasi kya kare
Jo apni nahi wo khushi kya kare
Tanha jine se behatar hai mar jaye ham
Jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare

Phool bankar muskurana zindagi hai
Muskurake gham bhulana zindagi hai
Milkar log khush hote hai to kya hua
Bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

Ae khuda dua ye meri khali na jaye ki
Mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye
Aansu nikle to khushi ke nikle
Gham ke aansu mere hisse me aa jaye

Tumhari yaadon ki mehek in hawaon mein hai
Pyar hi pyar hi bikhra in fizao mein hai
Aisa na ho ki duriya dard ban jaye
Ab to aap ka intezaar niaghon mein hai

Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehata hai
Har pyar ko apna pyar yaad rehta hai
Wo pal jo yaar ki baho me guzarta hai
Maut tak vo nazara yaad rehta hai

Panchi keh rahe hai ki ham chaman chod denge
Aur sitare keh rahe hai ki ham gagan chod denge
Agar tere ishq mein main mar bhi jau ae sanam
Tum dil se pukar lena hum kafan chod denge

Aansu aa jate hai aankhon mein
Par labon pe hasi laani padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro
Jisse karte ho usi se chupani padti hai

Kyu kisi ki khamoshi muje khamosh kar jaati hai
Kyu uski udaasi muje udaas kar jaati hai
Kya rishta hai uska mejse
Jo muje uski yaad har pal aa jaati hai

No comments:

Post a Comment