July 24, 2008

Shayaries by Unknown

Jab koi khayal dilse takarata hai
Dil na chahkar bhi khamosh reh jata hai
Koi sab kuch kehkar pyar jatata hai
Toh koi kuch na kehkar bhi pyar nibhata hai

Reth pe likhne ki aadat hai hamari
Isiliye to sagar se dushmani hai hamari
Chahe wo lakh bar aapka naam mitaye
Aapko bhulana taqdir nahi hamari

Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho
Kal me aaj jaisi baat ho na ho
Yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge
Tamaam umar chahe mulaqat ho na ho

Mere alfazon ko juth mat samajna
Yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna
Ji raha tha tumhare naam par
Mar jau toh bewafa mat samajna

Lehar aati hai kinare se palat jati hai
Yaad aati hai dil me simat jati hai
Faraq itna hai ki lehar bewaqt ati hai
Aur aap ki yaad har waqt ati hai

Rab se aapki khushi maangte hai
Duaon me aapki hansi maangte hai
Sochte hai chalo kuchh maange aapse
Aapki umar bhar ki dosti maangte hai

Nazre na hoti to nazara na hota
Duniya me hasino ka guzara na hota
Hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de
Jaake khuda se kaho hasino ko banana chhod de

Wo laut aayega teri zindagi me
Jiska intzaar tuje aaj bhi hai
Maana waqt ne ki hai bewafai tujse
Lekin meri duaon me asar aaj bhi hai

Ruthne ka haq aap rakhte hai
Manaane ki chahat hum rakhte hai
Aapke hothon pe muskurahat yu hi bani rahe
Yehi dua rab se hum roz karte hai

Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye
Ki hum jise yaad kare use khabar ho jaye
Rab se yahi dua hai meri
Ki aap jise chahe woh aap ka humsafar ho jaye

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye
Mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye
Chahe bhale pade gam se vasta
Ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye

Anjane me hum apna dil gawa baithe
Is pyar me kaisa dhoka kar baithe
Unse kya gila kare bhool hamari hi hai
Jo bina dil walon se dil laga baithe

Har khushi dil ke karib nahi hoti
Zindagi ghamon se dur nahi hoti
Ae dost is dosti ko sanjokar rakhna
Aeisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti

Hum mitti ka aashiyana banate gaye
Bana bana kar unhe mitate gaye
Hame koi na apna bana saka
Ham har kisi ko apna banate gaye

Kaun hai jo manzil se door nahi
Kaun hai jo zindagi se majboor nahi
Gunaah to sabhi karte hai
Hamari nazar me to khuda bhi bekasoor nahi

Kab unki palkon se izhaar hoga
Dil ke kisi kone me hamare liye pyar hoga
Guzar rahi hai raat unki yaad me
Kabhi to unko bhi hamara intezar hoga

Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai
Har mod par kissi ka intezaar hota hai
Dil rota hai zakham haste hai
Isi ka naam to pyaar hota hai

Unhone dekha aur aansu gir pade
Bhari basant me jaise phool bikhar pade
Dukh woh nahin ki unhone hame alvida kaha
Dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade

Maana ye waqt hame yaad karne wala nahi
Par bewaqt hi yaad kar liya karo
Mana aapke aas-paas sari duniya hai
Kabhi hamari kami ka bhi ehsas kar liya karo

Nashili aankhon se wo jab hame dekhte hai
Ham gabhraa kar aankhen jhuka lete hai
Kaun milaye unn ankhon se aankhen
Suna hai wo ankho se apna bana lete hai

Chandni raat me jab sara jahan sota hai
Kisi ki yaad me koi badnaseeb rota hai
Khuda kisi ko pyar pe fida na kare
Aur kare to juda na kare

Har pal muskurana zindagi hai
Muskura kar gam bhulana zindagi hai
Jeet kar muskurana bhi kya muskurana hai
Haar kar muskurana zindagi hai
Milkar log khush hote hai to kya hua
Bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

Ham nibhayenge dosti marte dum tak
Ham hasayenge tumko gham se khushi tak
Ae dost kabhi humse naaraaz na hona
Saath rehna hamare akhiri dam tak

Ret pe naam kabhi likhte nahi
Ret pe naam kabhi tikte nahi
Log kehte hai ki hum patthar dil hai
Lekin pattharo pe likhe naam kabhi mitate nahi

Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte
Dil me rehne walo ki baat nahi karte
hamari to raah me bas gaye hai aap
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte

Tujse dosti karne ka hisab na aaya
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya
Hum to jagte rahe tere hi khayalo me
Aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aaya

Jakham aisa diya ki koi dawa kaam na aayi
Aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na pasyi
Aaj bhi rote hai unki yaad me
Jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi

Bhool jaane ka hounsla na hua
Door rah kar bhi wo juda na hua
Unse mil kar kisi aur se kya milte
Koi dusra unke jaisa na hua

Kaanch chube to nishan reh jaata hai
Dil tute to armaan reh jaata hai
Lagaa to deta hai waqt marham is dil par
Phir bhi umra bhar ek zakhm reh jaata hai

Log phoolon se mohabbat karte hai
Kaaton ko kisne yaad kiya
Ham kaaton se mohabbat karte hai
Kyunki phool ne hame barbaad kiya

Hum agar aapse mil nahi pate
Aeisa nahin ke hame aap yaad nahi aate
Maana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jaate
Par jo bas jate hai dil me phir bhulaye nahi jaate

Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta
Fiza gai to baharo me ji nahi lagta
Na puchh mujse tere gham me kya gujarti hai
Yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta

Fiza par asar hawaon ka hota hai
Mohabbat par asar adaon ka hota hai
Koi aeise hi kisi ka diwana nahi hota
Kuch kasoor to nigahon ka hota hai

Pyar ke ujalo me gham ka andhera kyu aata hai
Jisko ham chahte hai wohi kyu rulata hai
Mere khuda agar wo mera naseeb nahi to
Aeise logo se kyu milata hai

Waqt guzrega ham bikhar jayenge
Kaun jane ki hum kidhar jayenge
Ham aapki parchayi hai yaad rakhna
Jahan tanhai mili wahan ham nazar aayenge

No comments:

Post a Comment